Hello friends, welcome to Solution Guru, Aaj ki iss post me hum baat karenge ki Windows 10 ko factory reset kaise kare.
Aapki Windows 10 ko reset karne ke bahut se karan ho sakte hai. Jaise ki aap apne Computer ko sell karna chahte hai, aur aap chahte hai ki aapka sara data remove ho jaaye aur Computer ek new window ki tarah dikhe.
Dursa kaaran yeh bhi ho sakta hai ki aap future me bina kisi rukawat jaise ki hang hona jaisi pareshani se bachne ke liye ise reset karna chahte hai. Reset karne ka matlab hai ki yeh windows ko ek fresh bana deta hai yaani sari files ko delete kar deta hai. Lekin Microsoft aapko inme se kuch files save rakhne ka feature bhi deta hai. aaiye jaante hai ki Windows 10 ko factory reset kaise karte hai. Agar Reset ke doraan aap apni files ko save rakhna chahte hai to Remove Everything ki jagah aap apni files ko save karne ka option choose kar sakte hai.
Factory Reset Windows 10
Apni Windows 10 ko factory reset karne ke liye aapko 'Windows Recovery Tool' ka istemaal karna hoga. Iske liye aapko apni windows machine me login karna hoga.
Step 1: Recovery Tool ke option ko open kare. Ya fir aap Windows Search bar ko open kare. Press Window key aur 'Reset' type kare aur 'Reset this PC' ke option par click kare.
Step 2: Recovery Tool ko open karne ke baad yaha aapko 'Reset This Pc' ka ek section milta hai aur yahan ek button Get Started hota hai. Get Started button ko press kare. Iske baad ek nayi window open hoti hai two option deti hai. ' keep my files' or ' remove everything ' Aap apni need ke according koi bhi option choose kar sakte hai. (Agar aap apne computer ko sell karna chahte hai to “Remove Everything” ke option ko choose kare. Isse recovery ke baad bhi aapki files milne ki sambhawnayein kam ho jaati hai) Jab aap kisi bhi option ko select karte hai to windows reset start karta hai. Agar aap reset everyting ke option ko choose karte hai to yeh aapko konsi drive ka data delete karna hai aisa option bhi deta hai. Ya fir aap uss drive ko choose kar sakte hai jahan aapki window install hai.
Friends aaj humne seekha ki hum kis tarah windows 10 ko apni zaroort padne par reset bhi kar sakte hai. Agar aapko koi bhi steps samajh naa aaya ho to aap hume zaroor comment kare.

5 टिप्पणियाँ
Nice blog
जवाब देंहटाएंbahut acchi information
जवाब देंहटाएंGood info
जवाब देंहटाएंUseful
जवाब देंहटाएंUseful
जवाब देंहटाएं