Computer me bina naam ka folder kaise banaye.
Hello friends, aapne apne daily use ke liye apne computer me
kaafi folders bnaye honge. Par aaj hum jis folder k baare me batane jaa rahe
hai shaayad. Ho skta hai aapne pahli
baar suna ho ki bina naam ke bhi koi folder ban skta hai. Ye bahut hi aasan hai
chaliye sikhte hai.
Step 1. Koi bhi new folder le or usko rename
kare. Jaise ke image me show kiya gaya hai
ya fir aap F2 press bhi kar skte
hai.
Step 2. Ab uss pure naam ko select kare .
Step 3. Apne keyboard se alt+0160 enter kare.
Step 4. Press enter.
Jaise hi aap alt+0160 enter
karenge aapke folder se naam hat jaayega and press enter.
Iss tarike
se aap apne computer me without name ke folder bana skte hai.
Iss topic ke baare me
apna comment jarur de.
Agar koi
problem aa rahi hai to comment me jarur bataye.
Whatsapp status ko kaise save kare.
3 टिप्पणियाँ
Good info , thanku...
जवाब देंहटाएंWow, nyc trick
जवाब देंहटाएंInteresting Trick
जवाब देंहटाएं