Put your ad code here

Gmail account ko mobile se SignOut kaise kare.

HOW TO REMOVE GMAIL ACCOUNT FROM PHONE. (2 ways)
Hello friends kai baar hum apne mobile me kisi dusre ka gmail account log in kar lete hai lekin use apne mobile se hatana thoda mushkil ho jata hai. To aaj me Gmail ko apne mobile se remove karne ke tariko ke baare me bataane jaa raha hu.
First way - Sabse pahle apne moble ki Setting me jaaye. Wahan aapko Personalization me Account ka option milega. Account me aapko aapke device ke sabhi accounts milenge jaise whatsapp, ucmini ya jis kisi bhi app par aapne apna account bnaya hua hai aapko waha show ho jaayega. Aapko yaha par Google par click karna hoga.
Google me aapko aapke sbhi signing mail account milenge . Yaha aapko uss account par click karna hoga jise aap apne Device se Remove karna chahte hai. Ab uss account ki jaankari open ho jaayegi jise aapne select kiya hai. Yahan aapko upar right side me 3 dots (menu) show honge. aapko inn 3 dots par click karna hai. Yahan aapko remove account par click karna hai. Aapka account uss device se remove ho jaayega.

Second way open your gmail app in android mobile. Yahan par aapko top me left side 3 lines show hongi. Aapko inn par click karna hoga. Yaha par ek popup window open hogi or ek account show hoga. Mail address ke thik samne ek down arrow show hoga. Aapko uss par click karna hai. Click karne ke baad aapko aapke device ke sbhi accounts show honge. or saath hi niche manage account ka option bhi hoga.
Aapko manage account par click karna hai. Yaha par bhi aapko sbhi account show honge. yaha par aapko top me right side me edit par click karna hai. Jis bhi account ko aap remove karna chahte hai yaha se kar sakte hai.
Aasha karta hu ki aapko aaj ki trick pasand aai hogi.
Agar kisi bhi tarah ki koi problem aa rahi hai to zaroor comment kare.

एक टिप्पणी भेजें

1 टिप्पणियाँ