Put your ad code here

How to make shortcut key for any Application

Kisi bhi application ki shortcut key kaise bnaye.

Hello friends aaj fir aaye hai ek bilkul nayi trick ke saath. Kisi software ka baar baar use karna padta hai, kaisa ho agar aap use sirf ek shortcut key se open kar le.
Chaliye sikhte hai step by step with images.
Step 1. Sabse pahle uss software ke shortcut par jaaye jiske liye aap shortcut banana chahte hai. Jaise maine adobe photoshop 7.0 ka use kiya hai.


Step 2. Ab right click press karke uski Properties par jaaye.


Step 3. Yahan par aapko shortcut key ka option show hoga. Jisme none default set hoga. Jaisa ki image m show kiya gaya hai.


Step 4. Aapko bas apne keyboard se koi bhi key press karni hai jise aap uski shortcut key bnana chahte hai. ( jaise ki maine A press kiya).
Aap dekhenge ki yaha par automatic Ctrl+alt+A aa chuka hai.


Step 5. Click apply and Ok.

Lijiye aapki shortcut key ready hai, jab bhi aap apne computer me iss key ko press karenge yahi application open hogi. 
 Aap koi bhi application shortcut ki shortcut key bana sakte hai.

I hope k aapko aaj ki trick pasand aai hogi.
Agar trick se related koi bhi problem hai to comment me jaroor likhe.
Whatsapp Status ko kaise save kare
  Bina naam ka folder kaise bnaye


एक टिप्पणी भेजें

1 टिप्पणियाँ