Put your ad code here

Apne Computer Ko Android Mobile Se Control Kaise Kare

Hello Friends, Aaj hum apne computer ko kisi aur android mobile se control karne ke baare me jaanege. Internet par aapko kaafi aisi Application milengi jo ek computer ko wifi, Bluetooth aur Internet connection ke jariye aapke computer ko kisi android mobile se connect karke control karti hai. Par aaj hum unme se hi kuch special Application ke baare me baat karenge. Yahan 2 tarah ki aisi Application hai jo android mobile se Windows 10 ko control karti hai. Pahli Application me aap kewal apne Computer ki Screen ko dekh sakenge jise screen mirroring bhi kahte hai. Aur apne mobile ek mouse ki tarah bhi use kar sakte hai. Aaiye jaante hai kuch Application ke baare me. 

1. PC Remote

Yeh android app Windows 10 ko control ke liye istemaal ki jaati hai. Ise connect karne ke liye aap Bluetooth ya WiFi ka use kar sakte hai. Iske Remote me kaafi useful features hai. Aap iss app ke jariye aasani se apne Computer ke desktop ko dekh sakte hai. Yeh app aapko 25 se jayada console game bhi deti hai, jinhe aap touch pad ke jariye khel sakte hai. Saath hi yeh aapko Layout jaisa features bhi deti hai jiske jariye aap apne need ke according game bana kar khel sakte hai.

2. Chrome Remote Desktop 

Yeh app aapke computer ko aapke mobile me transfer karti hai. Ise remote ke jariye access kiya jata hai. Iss app ko use karne ke liye aapko Google Account ki zaroort hoti hai. Yeh best desktop apps me se ek hai. Aap ise touch pad ke saath bhi use kar sakte hai aur ek mouse ke jaise bhi iska istemaal kar sakte hai. Ise run karne ke liye aapko Google Chrome me Google Profile ke saath open karna hoga.

3. KiwiMote

KiwiMote WiFi ke jariye connect hokar kaam karta hai. Iske System ya router ko ek hi hotspot ya WiFi se connect karne ki zaroorat hoti hai. Aap QR code ke jariye bhi inhe aapas me connect kar sakte hai aur chahe to apne zaroort ke anusar PIN bhi laga sakte hai. Lekin iss app ko use karne ke liye aapko apne system me Java ko install karna hoga. Iss app ka sabse useful features gamepad aur mouse hai, aap iss app ke Jariye Media Player aur Adobe PDF jaise tools ka bhi istemaal kar sakte hai.

4. TeamViewer

Yeh app Mirroring ke liye sabse jyada istemaal kiya jata hai. Aur Windows 10 me sabse jayada istemaal kiya jane wala android app TeamViewer ka ek desktop version hai. yeh application remote connection ke jariye kaam karti hai. yaani ise use karne ke liye aapko dono devices me Internet ka hona zaroori hai. Iss app ke jariye aap files ko bhi transfer kar sakte hai. Android aur PC dono ke liye yeh app useful hai. Aap apne Mobile se apne Computer ko connect karne ke liye TeamViewer user id aur password ki zaroort hoti hai. Iss app ke jariye aap ek computer ko dusre computer se bhi connect kar operate kar sakte hai.

5. DroidMote

Yeh bhi connecting ke liye ek shaandar app hai, aur jayadatar yeh Gaming ke liye use hoti hai. Yeh Android, Linux aur Windows ke saath istemaal ki jaati hai, aur yeh ek shaandar gamer-friendly app hai. Saath hi yeh app apko touch mouse jaisa features bhi deta hai. 

6. Microsoft Remote Dekstop

Windows 10 me sabse jayada istemaal ki jaane wali best apps me se ek hai. Shaayad Windows 10 ko use karne wale users ke liye hi Company ne iss app ko banaya hoga. 
Inme se jo bhi app aapko pasand aaye aap use application ko internet se download kar use bhi kar sakte hai.

Dhyan rahe, inme se kisi bhi app ko use karne se pahle aap ye soch le ki app aapko kis kaam ke liye use karni hai. Agar aap inme se kisi bhi aap ko apne Office use ya activity par nazar rakhne ke liye karte hai to aapko Chrome Remote Desktop ya KiwiMote ko use karna chahiye. Agar aap entertainment jaise gaming ke liye istemaal karna chahte hai to baaki kisi bhi app jo gaming ke liye hai unka use kar sakte hai.
Friends, Mai aasha karta hu ki aapko aaj ki yeh post pasand aayi hogi, yadi fir bhi aapko kuch samajh na aaya ho ya koi aur tech related problem ho to aap hume zaroor comment kare. Jald hi milenge fir ek nayi post ke saath. 

एक टिप्पणी भेजें

5 टिप्पणियाँ