Put your ad code here

Slow PC ke liye 5 Best Browsers

Hello friends, aaj hum baat karenge browsers ke baare me. Present me Opera, Mozilla Firefox, Chrome aur Internet explorer edge popular hai. Par jin computers ki ram kam hai ya performance slow hai ye unn pc me hang hote hai. aaj hum 512 MB ram tak ke computers ke liye browser btane wale hai. Jin computer me aisi problems hai aap unn computer me inhe use kar sakte hai. Agar aapka bhi PC old ya slow hai to aap inhe try kar sakte hai.

1. K-Meleon


K-Meleon bhi fast browsers me se ek hai. Iska UI design Firefox ke jaisa hai. Isme aapko Toolbar, Menu aur Hot Key jaise option bhi milenge. K-meleon bhi ek super quick browser hai. isme kaafi plug in bhi hai. Ise run karne ke liye sirf 256 MB ram ki hi zaroort hoti hai. Aur Jayadatar yeh Windows 95, XP, Vista aur Some other platform me use hote hai.

2. UR Browser

UR Browser kam RAM wale computers ke liye best browser me se ek hai. Jo aapko kaafi features deta hai. ye fast browsing ke saath aapke search result ko jaldi load leta hai. Apne Purane computer me use karne wale browser ke bajay yeh fast hai. Khaas kar aap windows XP hai to aap ise use bhi karke dekh sakte hai. Aur na hi ye ADS ko load leta hai.

3. Pale Moon

Pale Moon firefox ke source code se ek browser hai. yeh firefox ka stripped version hai. Pale Moon ko run karne ke liye sirf 256 MB ram ki zaroort hoti hai. Jo ki windows xp aur Vista par kaafi chalta hai. saah hi yeh present CPU ke liye bhi accha hai. Pale Moon ki browsing speed kaafi high hai. isme purane fire fox 3 version ke jaisa hi UI hai. isme iske kuch khaas Add-ons hai.

4. Midori

Slow Pc aur kam memory rakhe wale pc ke liye yeh best browser hai. Firefox jaise browser ke install karne ke liye lagbhag 200 MB tak ke hard disk drive space ki need hoti hai. Lekin yeh kewal 37 MB tak me run karta hai. yeh latest web technologies jaise HTML 5 aur CSS ko bhi support karta hai.

5. Maxthon 5

Maxthon 5 ek highly rated browser hai. iske Home page ka daawa hai ki iss browser ke lagbhag 670 Million users hai. Ise use karne ke liye 1Ghz CPU, 512 MB ram aur 64 MB hard drive ki hi jaroort hai. yeh browser windows xp, vista aur 2000 aur saath hi kuch naye platform ke liye best hai. yeh desktop aur laptop dono par aasani se chal sakta hai. Isme  ek khaas features yeh bhi hai ki isi browser me aapko built in ad blocker milta hai. isme aapko cloud sync. Backup bhi milta hai aur saath hi isme screenshot option ke saath snapshot capture option bhi milta hai.    
            
Aap inme se kisi bhi browser ko apne pc me use kar sakte hai. kyoki inn browser ko run karne ke liye bahut hi kam memory ki need hoti hai.

Kisi bhi technology related problem ke liye aap hume comment ya send a message tool ka use kar sakte hai. Apne vichaar jaroor rakhiyega. Milte hai fir ek nayi trick ke saath.

एक टिप्पणी भेजें

5 टिप्पणियाँ

  1. Sir mera pc bhout hang hora h ...meri memory nd ram bhi thk h .....

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. Some major reasons for having a computer hang:
      1. Low memory space
      2. Reasons for More Viruses
      3. Simultaneously opening a lot of apps
      4. Use of somebody's virus pen drive

      Solution:

      1. Please use a high quality anti-virus in your computer.
      2. Be sure to scan them before anyone can open their pen drive or other memory device.
      3. Deletes useless data or other content.
      If possible, more games are left to install.
      4. Clean Junk files.
      5. Full Scan your computer in once a week or month.
      Thanks.
      Nice to help you...

      हटाएं
  2. bahut bahut dhanyawad sir, mere pc ki ram bahut kam hai, mujhe bahut help mili. Thank you sir ji

    जवाब देंहटाएं