Welcome Friends, Aaj hum ek aise topic ke baare me baat karenge jo kuch hat ke ho sakta hai. jaise ki aapne upar title me to padh hi liya hoga ki hum kis baare me baat karne wale hai. to chaliye pahle iske baare me thoda jaane.
Windows ek Operating System hai. Jo jyadatar Computer aur Laptop me use kiya jata hai. Waise Kuch aise PC aur Laptop bhi hai jo windows ki jagah kisi aur Operating System (OS) ka use karte hai jaise ki Linux. Nokia ka ek smartphone bhi aaya tha jo window ko support karta tha aur isi Operating System pe chalta tha. In present Android Smartphone .apk extension pe run hote hai. isi base par wo apni har ek apps or games ko play karte hai. Lekin aaj hum aapko batayenge ki kis tarah hum windows ko apne android smartphone me bhi install kar use kar sakte hai. Hum apne Android Mobile me Windows XP, 7, 8, 8.1, 10 jaisi window Operating System ka maza le sakte hai. aur yeh aapke har android version par chalega jaise ki Android Kitkat/Lollipop/Marshmallow ya other koi bhi latest android version. Bas aapko ye sabhi steps dhyan se follow karne hai. chaliye aaj kuch naya aur hatke seekhte hai.
Apne mobile par window install karne ke liye aapko kuch cheezo ki zaroort hoti hai. Sabse pahle aap niche di gayi inn sabhi ko ready rakhe.
1. Android Phone ya Tablet Jisme aap window ko install karna chahte hai.
2. Ek Computer ya Laptop (Jisse ki window aapke mobile/tablet me install hogi.)
3. High Speed Internet connection hona zaroori hai. kyoki kai baar slow internet connection se operation failed jaisi problems aa sakti hai.
4. Ek USB cable.
5. Change My Software (Ye software aapke android mobile me window install karega).
Aaiye ab inn sab ke baad hum apne uss steps ko dekhte hai jisse window install hogi.
1. Sabse pahle apne mobile/tablet me Menu par tap karein aur Settings ko select karein.
2. Ab last me Developer Options par click karein.
3. Ab USB debugging par check karein ya USB debugging ko on kar de.
4. Ab aapko change my software ki zaroort hogi. jo aapke mobile ke Operating System ko change karega.
5. Aap change my software ke latest version ko google se bhi download kar sakte hai.
Read also: Slow PC ke liye 5 Best Browsers.
1. Ab apne computer me change my software ko select karein.
2. Change my software ko install karene ke liye uske installation guide ko follow karein.
3. Ab apne mobile/tablet ko USB cable ke zariye apne computer ke saath connect karein.
4. Ab Android>Windows (10, 8.1, 8, 7, XP) Operating System ko select kar apne mobile ya tablet par install karein.
5. Agar aapka device mobile/tablet thik kaam kar raha hai to continue par click karein.
6. Apni language ko choose karein.
7. Jaise hi aap language ko select karte hai windows driver automatically download and install hona automatically start ho jaayega.
8. Jab yeh poori tarah download ho jaaye tab install button par click karein.
9. Ab aapke saamne ek option hota hai “Remove Android” . agar aap apne mobile me dual-boot jaise (Windows&Android) ko saath me run karna chahte hai to iss option ko ignore kare. Agar aap sirf window ka aanand lena chahte hai to iss option ko select kare. Yeh option aapke mobile se android Operating System ko remove kar dega.
10. Ab windows installation ki process aapke mobile par start ho chuki hai.
11. jab tak installation process complete na ho jaaye aur sabhi files aur features poori tarah se install na ho jaaye thoda intzaar karein.
12. Jab sabhi features aur files aapke mobile ya tablet me install ho jaayegi. Aapka device automatically reboot/restart hoga.
13. Reboot hone ke baad aap windows ya android ko istemaal karne ke liye Operating System choose kar sakte hai.
Note: Agar aap apne android mobile ya tablet me window ke saath uncomfortable feel karte hai. agar sahi tarike se istemaal nahi kar paa rahe hai to aap ise wapis pahle jaisi condition me bhi laa sakte hai. wapis android ke liye aap inn steps ko dekhe. Apne android mobile ko PC se connect karein. Ab change my software ko launch karein. Ab “Restore to original condition” ke option par click karein. Yeh option aapke mobile se window ko remove kar wapis android ko install kar dega (aapka mobile bilkul pahle jaisa ho jaayega).
Mujhe aasha hai ki aapko aaj ki ye post pasand aayi hogi. aap me se kuch jo window Operating System ko like karte hai wo ise use bhi karke dekhenge. Sabhi steps ko dhyan se padhe. Agar fir bhi koi step samajh naa aa raha ho aur aaj ki ye post kaisi lagi iske baare me comment box me zaroor likehe. Fir haazir honge ek nayi Trick ke saath.

7 टिप्पणियाँ
Nice sir bhot bhediya
जवाब देंहटाएंBut sir ram or storage kitni honi chaayi
जवाब देंहटाएंYou can also use a device up to 2 GB RAM and 6GB internal memory
हटाएंSir data recovery ke baare me kuch btaye..
जवाब देंहटाएंDear How To Do..??, We will write the next article on this subject which will be published on August 5. Thanks for joining us.
हटाएंI used this trick This is a very nice trick. Thanks sir
जवाब देंहटाएंThis is very nice and beautiful blog
जवाब देंहटाएं