Put your ad code here

Pen Drive Icon Me Khud Ki Image Kaise Lagayein

Hello friends, welcome to Solution Guru, apni daily life me hum log pen drive, SD card aur DVD jaisi memory disk ka istemaal karte hi honge. Agar aapke dwara istemaal ki jaane wali pen drive me agar aapki khud ki photo lag jaayein to kitna accha rahega. Kai baar hume office work ke liye bhi ek se jyada pen drive ka use karna padta hai aise me ye trick aapki bahut help karegi. Chaliye aaj hum seekhte hai kis tarah hum Pen Drive icon me khud ki photo laga sakte hai bas kuch aasan se steps ko follow karke.

  • Sabse pahle us photo ko choose karein jise aap apni pen drive icon ki jagah lagana chahte hai.
  • Ab uss photo ka format change kare, format change karne ke liye image par Right click kare aur Paint Software ko open karein.
  • Ab aapki photo aapko Paint me show hogi. Ab file menu me jaakar Save as par click kare. Aapko yeh image .bmp (24-Bitmap) me save karein. (Agar aap koi image convertor use karte hai to uske jariye bhi aap apni photo ko .bmp me convert kar sakte hai. Ab convert ki gayi photo ko aap Desktop par save karein.


  • Ab Notepad open karein aur 2 line ka ek code likhe.
  • Pahli line me aapko autorun type karein aur enter press karein.
  • Ab agli line me aapko icon=IMG.bmp type kare. Yahan IMG.bmp me IMG ki jagah aapne jo .bmp image save kiya hai uska name daale.
  • Iss file ko "autorun.inf"  ke naam se save kare. Dhayaan rahe ye file bhi aapko desktop par hi save karni hai.
  • Ab inn dono file ko copy karke aap apni uss pen drive me copy karein jiska icon aap change karna chahte hai. 
  • Ab pen drive ko computer se remove karke dobara daale.
  • Ab aap dekenge ki aapki pen drive ka icon change ho chukka hai.


    icon

Note:- Dhyan rahe jab tak yeh file aapki pen drive me rahegi tab tak hi aapki pen drive ka icon change rahega. Jaise hi yeh dono file delete hogi aapki pen drive ka icon bhi change ho jaayega.
Agar aap chahte hai ki yeh icon kabhi remove na ho to aap inn dono file ko hide bhi kar sakte hai. Hide karne se yeh dono file delete hone se bach jaayegi. Agar aapki pen drive ko koi bhi format karta hai to bhi icon change ho sakta hai. Agar aap file ko hidden karna nahi jaante to niche di gayi trick ko follow kar sakte hai.

  • Dono files ko select karke Right click press karein.
  • Ab properties ke option par click kare.
  • Yahan aapko niche Hidden ke option par click karke apply aur OK karna hai.
  • Aapki dono files hide ho chuki hai.

Friends me aasha karta hun ki aapko aaj ki ye post pasand aayi hogi. Agar fir bhi kisi bhi tarah ki koi tech se related problem hai ya fir isi post ka koi step samajh na paa rahe ho to zaroor comment karein.

एक टिप्पणी भेजें

3 टिप्पणियाँ