Put your ad code here

Apne Computer Ki Kam Ram Ko Badhayein.

Welcome friends, sabse pahle to aap sabhi ko hardik badhai aur shubhkaamnayein. Aaj humare blog ko pura one year ho gaya hai. Ye sabhi aapke saath aur pyar ke kaaran hi sambhav ho paaya hai. Aaj hi ke din humne apne blog par pahli post publish ki thi jiska link hum aaj ki iss post me bhi de rahe hai. Ek baar phir se aap sabhi ka dil se dhanyawad.
Chaliye baat karte hai aaj ke topic ke baare me. Aaj ki ye post khaas unn logo ke liye hai jinke computer ki ram kam hai jaise 256mb, 512mb ya 1 gb tak. Kuch aise software aur applications hoti hai jo inn ram ke computer ko support nahi karti ya bahut jayada hang ho jaati hai. Hum apni hard drive disk se kuch memory lekar apni ram ko de denge jo ki humari ram ki tarah hi kaam karegi. Jiske liye hume apne computer ki hard drive disk se kuch virtual memory ko badhana hoga. 
Virtual memory badhane ke kuch steps:
1. sabse pahle apne computer me control panel open karein.
2. ab System and Security par click karein.
3. ab Advanced System settings par click karein.
4. ab aapke saamne System Properties ka naya window open hoga.
5. System Properties me Advanced par click karein.
6. Ab Performance Setting par click par click karein.
7. Yahan Performance options naam se ek nayi window open hogi. isme advanced par click karein.
8. Virtual Memory ke option me Change par click karein.
9. Yahan aapko ek option show hoga “automatically manage paging file size for all drives” ise uncheck karein.
10. iske baad custom size par click karein yahan aapko initial size aur maximum size enter karna hoga. Lekin dhyan rahe ye size aapke system ki ram par depend karta hai. har alag ram ka apna alag size hota hai. (aap internet par apne ram ke size ko enter karke iski virtual memory ke baare me pata kar sakte hai). 
11. apni virtual memory enter karne ke baad Set par click karein aur saath hi ok button par bhi click karein. 
Yahan aapka computer aapse restart karne ke liye kahega. Apne computer ko restart kare. Restart karne ke baad hi aapka system set ki gayi virtual memory ke saath kaam karega. Lijiye aapke system ki virtual memory bhi set ho gayi.
(jaise hi hum virtual memory ko badha dete hai saath hi jyada ki gayi memory humare hard drive disk se kam ho jaati hai aur humari ram ke saath kaam karna shuru kar deti hai.)



Read also: How to save Whatsapp status without any app.

Inn sab process ke baad agar hum thodi knowledge ki bhi baat karein to aaiye jaante hai kya hoti hai virtual memory aur kya hota hai jab hum apne computer ki virtual memory ko badha dete hai.
Virtual memory aapke operating system ka hi ek hissa hoti hai. jab hum apne computer me kaafi pages ya applications ko ek saath open kar lete hai to humare system ki ram memory full ho jaati hai jisse ki humara system hang ho jata hai. Kai baar to crash jaisi problem ka bhi saamna karna padta hai. lekin jab hum apne computer ki virtual memory ko increase kar dete hai to aise me inn sabhi problems ko dekhna nahi padta.
Jab hum apne computer ki virtual memory ko badha dete hai to sochiye ki ek computer ki memory 512 MB hai aur hume koi software/application run karni hai jiske liye hume 1GB tak ram ki zaroort hoti hai. lekin jab hum apne computer ki virtual memory ko badha dete hai to humara cpu 512 mb ram lene ke baad baaki ki memory humari badhai gayi virtual memory se lena shuru kar deta hai. ye virtual memory humare hard drive disk se li jaati hai. jayada applications open karne par jab humara computer hang jaisi situation me aata hai to aise me humara processor humari ram ki recent me istemaal na ki gayi files ko humare hard disk me ki virtual me transfer kar deta hai. aise me humari ram memory me space ban jaata hai aur hum aasani se apne system ko bina kisi problem ke run kar paate hai.
(agar hum hard disk ki jagah pen drive ka istemaal karna chahe to kar sakte hai. Lekin hum jab bhi computer start karenge hume uss pen drive ko lagana hoga.)
Dosto
 aaj ke iss one year celebration me humne trick ke saath hi knowledge ki bhi baat ki. Jo computer fundamental ke student hai unhe iss trick se kaafi help mil sakti hai. ab aap kam ram 1gb ya isse upar tak ke software ka aanand le sakte hai. lekin dhyan rahe virtual memory kitni increase karni hai ye sabhi aapke processor aur isme install windows par depend karta hai. kitni virtual memory increase kar sakte hai iske liye aap apne processor ke baare me internet par bhi search kar sakte hai. jyada virtual memory increase karne par yeh kaam nahi karegi. Hum aasha karte hai ki aapko aaj ki yeh post pasand aayi hogi. agar phir bhi aapki koi technology se related problem hai to zaroor comment karein. 

एक टिप्पणी भेजें

2 टिप्पणियाँ