Put your ad code here

Smartphone Ki Duniya Mein Wireless System

Namaskaar Doston, aaj hum jis post ke baare me baat karenge uske baare me aapne top me title to padh hi liya hoga. Wireless system jisne logo ki zindagi ko aasan banane ke saath-saath hi ek nayi technology ko bhi humare saamne laya.

Wifi Technology

Wifi Technology humare bich lagabhag 1997 me aayi thi. Uss time yeh 802.11 pe kaam karti thi. Wifi ka use wireless local area network (WLAN) ke liye bhi kiya jaata hai. Wifi ka poora naam Wireless Fidelity hai. isme do hardware milkar aapas me bina kisi wire ke ek dusre se connect hote hai. waise to wifi ko invent karne me sabse pahle “John O’Sullivan” ka naam liya jata hai. Wifi-hotspot user ko fast connection ki suvidha deta hai. Ek wifi-hotspot ke saath kaafi user ek hi time me apne device ko connect kar sakte hai. lekin jayada device connect karne se iski speed par bhi fark padta hai. Future me yeh 2.4 GHz se 5GHz pe work karega. Aaj kal wifi-router jaisi suvidha ke kaaran bahut se offices me iska use online work ke liye kiya jata hai. Kaafi jagah par students yaa logo ko free wifi access karaane ke liye bhi isi ka use kiya jata hai.

WiGig 

Ho sakta hai ki bahut kam logo ne iska naam suna ho. Lekin hum bata de ki yeh bhi wifi ke jaisa hi hai. WiGig Wifi ka ek advance version hai. Jo aapko kaafi fast internet connection jaisi suvidha deta hai. yadi aap fast internet ke jariye online gaming ya video jaisi suvidha ka aanand lena chahte hai to yeh aapki kaafi sahayata  karega. WiGig 60MHz frequency par kaam karta hai. jyadatar yeh ultra fast network ke liye use me laaya jata hai. iski speed wifi se kaafi jayada hoti hai.

Read also:Play Store Se Paid Apps Free Download Karein

Bluetooth

Yeh naam aapka kaafi jaana pahchana ho sakta hai. Jab starting me mobile me koi wireless multimedia sharing system aaya tha to isse sabse jyada use kiya jata tha. Waise present me kaafi Bluetooth devices hai jinke through aap wireless life ka maza le sakte hai. Bluetooth headphone jaise kaafi devices ne logo ke dilo me ek khaas jagah banai hai. Bluetooth ko 1990s me Dr. Jaap Haartsen ne invent kiya tha, uss time ye Ericesson pe kaam kar rahe the. 2010 ke aas paas se bluetooh ko cars me istemaal kiya jaane laga. Waise to Bluetooth ke kaafi version release huye lekin Bluetooth 5.0 December 2016 me hum logo ke bich aayi. Bluetooth ki sharing speed wifi se bahut kam hoti thi.

Wireless Charging

Bina kisi wire ke devices ke bich electric connection karna hi wireless charging hai. yeh devices ke bich electric power ko transfer karti hai. isse inductive charging bhi kaha jata hai.
Wireless charging electric power ko 3 tarah se bhejti hai.

  • Inductive Charging: Inductive Charging kisi device ko charge karne ke liye aur apni electric energy ko bhejne ke liye electromagnetic waves ka istemaal karti hai.  isme device ko charge karne ke liye ek conductive pad par rakha jata hai jo seedha wall-socket se juda hota hai. Iska istemaal jayadaatar Smartphone, PDAs aur mobile phones jaise devices ko charge karne ke liye kiya jata hai.

  • Radio Charging: yeh bhi Inductive Charging ki tarah hi kaam karta hai. Radio charging kisi device ko charge karne ke liye electric ko radio waves forms me bhejti hai. Isme kisi device ko charge karne ke liye usse radio waves emitting transmitter par rakha jata hai jisse ki radio waves transmit ho kar uss device tak electric power pahuchahti hai.

  • Resonance Charging: Yeh bade device jaise Laptop, Cars, Robots jaisi cheezo ko charge karne ke liye kiya jata hai. isme device ko charge karne ke liye sender aur receiver dono ko hi ek jaisi electronic magnetic frequency par kaam karna padta hai.

Waise to iske alawa bhi kaafi aise devices hai jo wireless kaam karte hai. lekin aapko yahan kuch popular devices ke baare me jaankaari di gayi hai. humare bich kaafi aisi applications bhi hai jo wifi, Bluetooth ke bina kaam nahi karti. Pahle jab hum Bluetooth ke jariye kisi file ko ek mobile ya laptop se kisi dusre device me send karte the to yeh kaafi jyada time leti thi kyoki iski speed slow hoti thi. Lekin hotspot-wifi technology ke kaaran aaj hum kam time me kaafi files ko ek acchi speed me ek device se dusre device me bhej sakte hai. Shareit app bhi files ko transfer aur receive karne ke liye inn technology ka hi use karti hai. hotspot technology ke jariye hum kaafi device ko ek saath connect kar sakte hai. inn sab ka jyadatar faayda online study aur gaming ke liye hota hai. kaafi aisi apps aur software hai jo Bluetooth aur wifi ke jariye messaging ki suvidha bhi dete hai. ShareIt aap ke jariye bhi aap data transfer ke saath messaging bhi kar sakte hai.
Dosto aasha karte hai ki aapko aaj ki yeh information pasand aayi hogi. Agar aapki iss topic se ya tech se related koi problem hai to aap hume zaroor comment karein.

एक टिप्पणी भेजें

5 टिप्पणियाँ