Hello friends, welcome to Solution Guru. Aaj hum jis topic ke baare me baat karne jaa rahe hai uske baare me aapne title me padh liya hoga. Kai baar jab hum kahin journey kar rahe hote hai ya apne kisi dusre kaam se bahar hote hai to smartphone ki battery low ho jaana ek general samasaya hai. Lekin kai baar humare paas power bank bhi nhi hota aise mein humare mobile ko charge karna behad mushkil bhara task ho jata hai. Aaj ki post me hum sikhenge ki hum kis tarah apne computer CPU aur laptop ke zariye apne android smartphone ko charge kar sakte hai aur agar electricity na ho to bhi mobile charge hota rahega.
Aaj hum aapko ek aisi trick batayenge jisse aap aisa kar sakte hai. Chaliye kuch naya seekhte hai.
Kai jagah electricity problem ke kaaran bhi mobile charge nhi ho paate ya apne busy schedule me log power bank apne sath le jana bhul jaate hai aise me agar aapke paas laptop hai to aap aasani se apne mobile ko charge kar sakenge. Inn sabhi steps ko follow karne ke baad aap apne android smartphone ko apne computer ya laptop se charge kar sakenge.
Doston aasha karta hoon ki aapko aaj ki ye post pasand aayi hogi aur aapke liye kaafi faaydemand rahegi.
Agar koi step samajh nahi aa raha hai ya kisi anay parkaar ki tech related problem hai to aap hume zaroor comment karein. Fir haazir honge ek nayi trick ke saath.
Aaj hum aapko ek aisi trick batayenge jisse aap aisa kar sakte hai. Chaliye kuch naya seekhte hai.
- Sabse pahle apne computer ki desktop screen par jaayen.
- Ab My Computer icon par click karein.
- Yaha file tab me Properties par click karein
- Properties par click karne ke baad ek nayi window open hogi
- Device Manager par click karein
- Universal Serial Bus Controllers par click karein
- Yahan USB Root Hub par click karein
- Aisa karne par aapko USB Root Hub ki sabhi properties show hogi, jo ki ek nayi window me open hogi.
- Yahan aapko power management option par click karna hai.
- Yahan aapko bottom me ek checkbox ke saath ek option milega ‘all the computer to turn off this device to save the power’ ko par lage tick ko hatana hai. Matlab uss option ko untick karna hai.
- Ab OK par click kar ise save karein.
- Ab aap apne Android Mobile ko charge kar sakte hai.
Kai jagah electricity problem ke kaaran bhi mobile charge nhi ho paate ya apne busy schedule me log power bank apne sath le jana bhul jaate hai aise me agar aapke paas laptop hai to aap aasani se apne mobile ko charge kar sakenge. Inn sabhi steps ko follow karne ke baad aap apne android smartphone ko apne computer ya laptop se charge kar sakenge.
Doston aasha karta hoon ki aapko aaj ki ye post pasand aayi hogi aur aapke liye kaafi faaydemand rahegi.
Agar koi step samajh nahi aa raha hai ya kisi anay parkaar ki tech related problem hai to aap hume zaroor comment karein. Fir haazir honge ek nayi trick ke saath.
3 टिप्पणियाँ
Awsm tips sir
जवाब देंहटाएंthanks for sharing the good idea to charge a phone
जवाब देंहटाएंAwesome Trick sir, sir Mai Apne computer me notepad se turboC me program copy nhi kr paa raha. Help..
जवाब देंहटाएं