Put your ad code here

Apne Mobile Ko Banaye Computer Microphone

Hello friends, Welcome to Solution Guru. Computer ho yaa Laptop dono mein chatting, game aur other activity ke liye aapko kabhi kabhi microphone ki zaroort hoti hi hogi. Lekin jab aapke paas android device hai to market se ise kharidane se parhej karna pad sakta hai. Aaj hum kuch unn tariko ke baare mein baat karenge jinse aap apne android smartphone ko computer/laptop mic ke roop me istemaal kar sakte hai. Waise internet par kaafi aise applications aur software hai jinse ki aap yeh kaam kar sakte hai. Lekin unme se kuch thik se kaam nahi karte. Isliye hum aapko yahan kuch selected software ke baare mein batayenge.

WO Mic

WO Mic ek tarah ka desktop client hai. Jiska istemaal aap computer microphone ke liye kar sakte hai. Yeh android microphone ke liye bahut hi accha software hai. Ek baar connect hone ke baad aap iske jariye mic se related jaise Recording, Chatting aur Voice control jaise kaafi kaam kar sakte hai. To aaiye jaante hai ki ise kaise istmaal kar sakte hai.
1. Sabse pahle aapko apne computer me Wo Mic ko uske Driver ke saath install karna hai.
2. Ab apne android mobile me internet ki help se aapko Wo Mic ka latest version download aur install karna hai.
3. Apne android mobile me app ko launch hone ke baad ise open karein.
4. Ab Start par click karein.
5. Wo Mic setting ke Transport option me aapko Bluetooth, USB aur Wifi option milenge. Jis connectivity ke jariye aap Mic add karna chahte hai uss par click karein.
6. Iske baad aapko Audio Source ke option  par click karke Mic ko choose karna hai.
7. Ab aap app ke homepage me jaakar Start par click kar ise istemaal kar sakte hai.
8. Ab Wo Mic software ko apne computer me open karein. Same connectivity choose karein.

Must Read: Play Store Se Paid Apps Free Download Karein

Real Microphone

Iss application ko istemaal karne ke liye aapko external cable ki zaroort hogi.
1. Sabse pahle Real Microphone ko apne PC me install karein aur open Karein.
2. Ab apne Android ko Male to Male headphone jack ke jariye apne PC se connect kare.
3. Ab aap apne Device ko PC Mic ke roop me istemaal kar sakte hai.

Microphone App

Yeh bahut hi simple application hai. Ise use karna bhi behad aasaan hai. Yeh aap mic se speaker me audio bhejne ka kaam karta hai. Sabse pahle ise apne device me install karein. Ab 3.5mm Aux Cable se apne PC ko connect karke aap apne Android ko Mic bana sakte hai.
To friends jab bhi aapko microphone ki zaroort hogi. I hope ke aapko market se purchase karne ke alawa aap inn apps ke jariye apna kaam aasan kar sakte hai. Microphone ka istemaal computer me bahut se kaam ke liye kiya jata hai. Jaise chatting, recordings etc. Aasha kartein hai ki aapko aaj ki yeh post pasand aayi hogi. Kisi bhi tarah ki tech related problem ke liye aap hume comment kar sakte hai. 


एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ