Put your ad code here

Apne Android Smartphone Me Data Recovery Ki Kuch Khaas Applications

Hello friends, aaj hum baat karenge data recovery se related topic ke baare me. Humari isse pahli post me kisi visitor ne humse iske baare me comment karke question kiya tha jiska answer hum iss post ke jariye de rahe hai. Dosto data humare mobile ka ek hissa hi nahi balki ek important part bhi hota hai. Iske bina mobile ho ya laptop lagbhag adhoora hi lagta hai. Lekin kai baar smartphone me virus ya kisi dusre kaaran ki vajah se humara important data delete ho jata hai. Kuch data ko to hum google drive, one drive jaise cloud storage features ka use karke save kar lete hai. Lekin kuch aisa data jo inn drives me save na ho aur kisi bhi kaaran se mobile se remove ho jaaye. Ho sakta hai ki smartphone Reset karna pade, kai baar firmware ki wajah se bhi ya fir kai baar virus infected files delete ho jaati hai. Jab humare mobile se koi data delete hota hai to data humare mobile me internally memory me save rahta hai. Jab tak ki koi dusra data isme copy ya download na kiya jaaye. Aise me iss data ko recover kiya jaa sakta hai. Lekin wajah koi bhi ho aaj hum aapse kuch aisi android apps ke baare me baat karne jaa rahe hai jo aapka data recover karne me aapki kaafi help karegi. To chaliye aaj kuch naya seekhte hai.


  • Dr. Fone


Dr. Fone data recover karne ka ek popular aur acchi app hai. kaafi android smartphone user iss aap ka use apne khoye huye data ko recover karne ke liye karte hai. yeh software aapke mobile me exiting aur deleted dono tarah ke data ko scan karta hai. uske baad recovering ka kaam shuru karta hai. iss software ki khaas baat yeh hai ki yeh bina kisi backup ke aapke data ko recover kar sakta hai. jab aap ise apne device me install karte hai to yeh aapke device ki information ko access karne me kuch time le sakta hai. lekin ek baar jab installation ki sabhi process poori ho jaati hai to yeh aapki files ko detect kar recover ka kaam shuru kar deta hai. yeh software aapko data mobile se computer me transfer karne ka option bhi deta hai.

  • Piriform Recuva

Piriform Recuva bhi data ko recover karne ka ek bahut hi accha tool hai. Hum kah sakte hai Dr. fone ke baad iska hi naam hai. kaafi users jinke mobile me Dr. Fone properly kaam nahi kar paa rahi wo iss app ka use karte hai. khaas kar yeh app aapke memory card/SD card ka data recover karne ka kaam karti hai. yeh aapki kaafi tarah ki files jaise aapki photos, audio, videos, pdf files, save documents aur email jaisi kaafi files ko recover karne ka kaam karti hai. jinhe apne sd card ke data ko recover karna hota hai iss app ka use karte hai. yeh har android device ko support nahi karti lekin fir bhi agar aapko iski zaroot hai to aapko ise try karna chahiye. Piriform Recuva bilkul free to use hai. 


  • EaseUS Mobisaver

EaseUS Mobisaver bhi dusre data recovery apps ki tarah hi hai. lekin yeh aapko kuch alag features bhi provide karwata hai. yeh aapke data ko recover karne ke saath hi aapke device ki photos, audio, video, whatsapp messages, contacts, SMS aur call logs jaisi files ko recover karta hai. lekin yeh kuch special format ki files ko recover karne ka kaam karta hai. apni file ko recover karne ke liye aapko kuch steps follow karne honge.

  • Sabse pahle recover mode ke option ko select karein.
  • Ab scanning start karein.
  • Scan poora hone ke baad unn files ko select karein jinhe aap recover karna chahte hain.
  • Ab “Recover” button par click kar aap apni files ko recover kar sakte hai.

Note:

1. Jab bhi aapka koi data delete ho jaaye aur aap use recover karna chahte hai to koi bhi other data apne mobile kisi bhi tarah ke data ko copy ya download na karein.

2. Aisa karne se purane delete data ke space par aapka naya data aa jaayega aur uske recover hone ke chance nahi honge ya kam honge.

3. Kisi bhi tarah ki apps ko open na karein. Jab bhi koi app open hoti hai wo apne saath data ko write karna start kar deti hai. if example: jab bhi kabhi aap whatsapp use karte hai to isme ki gayi chat aur download ki gayi images aapki mobile memory me save hote hai. jo ki aapke purane data ke space ki jagah lete hai.

4. Agar aap inme se koi android application istemaal kar rahe hai to dhyaan se karein. Aapka ek galat step aapke data ke recovery ke chance ko kam kar sakta hai.

Apni kuch zaroori files ko safe rakhne ke liye aap unhe Google Drive, One drive jaisi cloud storage ka use kar sakte hai. Inme upload ke baad aap kahi se bhi apne mail ko login kar inn files ko access kar sakte hai. Jayda long file ko aap apne computer me bhi save kar sakte hai.
Aap apni zaroort ke anusaar inme se koi bhi application ka istemaal kar sakte hai. iss post me aapko application ke saath hi uske features ke baare me bhi bataya hain. Agar fir bhi aapko isse related ya other kisi topic se related koi confusion hai to aap hume zaroor comment karein. 

एक टिप्पणी भेजें

5 टिप्पणियाँ